Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo
Yun khushi ko adhoora sa bana jaate hain ye aansoo
Dard itna hai saha, khaali ho gaya samandar ashkon ka
Jaane kahan se aankhon main bhar jaate hain ye aansoo
Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se
Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hain ye aansoo
Shayad khabar hai in ko bhi kis qadar tanha hoon main
Tanhaayi main mera saath nibha jaate hain ye aansoo !!

so nice, dil khush hua zahkm me dawa lag gai
“J” aapka bohot bohot shukriya pasand karne ke liye.
beautiful!!
i lubb it ^_^
<3
peace out!
Thanks a lot CraCker
Hi,
Excellent. Itna dard hain aapki shayari…wakhe mein dard mein bhi eak ajeeb maza hain…!!!Kaash hum ye ajeeb maza chak na pate, tho aaj ye dard k aansun na peete..!!
Bohot bohot shukriya Zeba….tah-e-dil se shukrguzar hoon aapki