Rooth gaye hain jo saathi, un ko manaya jaaye,
Udaas hain jo dil, phir aaj unko hansaaya jaaye
Zindagi ka safar kaise katega ghamgeen ho ke,
Honton par phir se tabassum ko sajaya jaaye
Khwaabon main reh kar jeena nahin hai aasaan,
Zindagi ki haqeeqat chalo sab ko bataya jaaye
Jod len tukde dil ke, khushq kar len aansoo apne,
Dil pe lage zakhmon ko chalo ab miataya jaaye
Kya, jo na mile ek manzil, hain manzilain aur bhi
Ek naye safar pe chalo qadam badhaya jaaye !!

Beautifully written, a dawn of hope.
Bahut hi zabardast hai ji,
Bahut bahut Shukriya
Thanks a lot Kamal…..yes…a dawn of hope
Rahul, aap ka bohot bohot shukriya…bas yunhi parhte rahiyega….
bhut achi aap ne to hamari dil ki bat kehdi nice yar
also the motivational shayari. Bahut kam milti hai aisi shayari.
shayari
Bohot bohot shukriya Sagar ji !
Thanks a lot Nikhil
Kya, jo na mile ek manzil, hain manzilain aur bhi
Ek naye safar pe chalo qadam badhaya jaaye !!
kya baat hai ji
keep it with ur pen……..
khali hi charaag jalaya jaye
aaj andhero ko daraya jaye
raste mai bahut tanhayee padti hai
uski yado ko sath le jaya jaye
janumanu
Thanks so much Janumanu,
Waah..bohot khoob !!
bhut hi badiya
aisa lagta hai ke
maine kuch bhi nahi khoya
jine ki kwaish na thi
aap ke alfaas ne jine ki chaha diladi
markar kuch karni sakte
isliye jikar kuch kar dikhlana chaha ta hai
Ye meri khushnaseebi hai ki meri likhi hui shayari se aapko kuch hausla mila….bohot shukriya, Zubair Ji
wowwwwww
great sir ji
bahut khubsurat likha hai aapne
hum aapke fan ho gye
Thanks a lot Abhishek..My name is Talat…and I am female
Shukriya..Nawazi….