Aaj ek arse ke baad yahan hazir hoon apni ek nayi peshkash ke saath !
Yaadain teri aaj phir aayi hain baar baar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar
Chaandni raaton main hum tum mila karte the
Yunhi pehron baithkar baatain kiya karte the
Yaadon ka karb kar gaya aankhain ashkbaar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar
Bulaayen kis tarah tumko, kahan tum kho gaye
Jism tadapta hai yahan, rooh saath le gaye
Tees uthti hai, aur utar jaati hai dil ke paar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar
Ishq ko samjha ibaadat, kya yeh uski saza hai
Zindagi bhi to nahin, phir kya yeh qaza hai
Dil bekas aarzuon ka hai jeeta jaagta mazaar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar
Yaadain teri aaj phir aayi hain baar baar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

HAR BAAR RO KAR KHUDA SE FARIYAD KARNA HOGA
BHOOLNE KE LIYE BHI TUJHE YAAD KARNA HOGA
Sach kaha…Nice one “Discussrecruitment”
Wao Kia baat hey, mein Saudi Arab mein Hon awr aaap samjh sakte hein mera karb w dard.aaapki shayri ne mere khayalat ki 500% tarjamani ki… thakkssssssssssss
Behad shukrguzaar hoon aapki…ki aapko meri yeh peshkash pasand aayi…..tah-e-dil se shukriya
Ji Adab,
Apke shayari mein bada he dum hain, jitna bhi padrahi hun, utna accha lagraha hain…
U r great great great great great writer.
Main aapki bohot shukrguzaar hoon, aapne itna pasand kiya meri shayari..jaise likhne ka inaam mil gaya mujhe
mohtarmaa adaab,
aapkee shayari padhi. achchi lagee.
aap me talent hai.
kuch aaj ke haalaat par bhi likhe.
khuda hafiz
Adaab Srian Ji,
Shukriya, zaroor post karemge. Ummeed hai aap aise hi haulsa badhayenge,
Shayara