Ladki Deewani hai…!!

Meri mohabbat ki bas itni si kahani hai
Dard main doobi hui yeh zindagani hai

Rista hai zakhm ban ke aankh ka aansu
Rooh par jafaaon ki gehri nishaani hai

Saansen hain lekin dhadkanen nahin hain
Lahu thama sa hai, na koi ravaani hai

Kho diya jisne umar bhar ka sukoon
Muskurati hai phir bhi, ladki deewani hai !!

18 Responses to “Ladki Deewani hai…!!”


  1. 1 mariam March 30, 2007 at 8:37 pm

    ur shayri is really cooooooooooolllllllll

  2. 2 shayariadab March 31, 2007 at 2:08 pm

    Thank You Mariam…I am trying to improve myself πŸ™‚

  3. 4 shayariadab April 12, 2007 at 9:27 am

    Sir, yeh shayari Mariam ki nahin hai. Woh toh humko thanx de rahi hai for writing this nazm.

    Shukriya !

  4. 5 rohit September 17, 2007 at 3:31 am

    Meri mohabbat ki bas itni si kahani hai
    Dard main doobi hui yeh zindagani hai

    Rista hai zakhm ban ke aankh ka aansu
    Rooh par jafaaon ki gehri nishaani hai

    Saansen hain lekin dhadkanen nahin hain
    Lahu thama sa hai, na koi ravaani hai

    Kho diya jisne umar bhar ka sukoon
    Muskurati hai phir bhi, ladki deewani hai !!

  5. 6 shayariadab November 12, 2007 at 11:44 am

    Hi Rohit,

    Aap kuch kehna chahte the ? kyunki aapne humari hi poem ko yahan likha par aapka koi comment nai mila !

    Thanks for coming here.

  6. 7 Arjun Singh March 17, 2008 at 6:03 am

    Hello shayariadab ji..jus a bit same as urs ..hehe …hope u like it..

    Meri mohabbat ki itni si kahani hai..
    tooti hui kashti aur ruka hua paani hai…
    ek gulab jo unki kitaabh may dam tor chuka hai,
    aur unko pata hee nahi yeh kiski nishaani hai…

  7. 8 shayariadab March 17, 2008 at 11:55 pm

    Nice Arjun Singh Ji ! πŸ™‚

  8. 9 shalu June 17, 2008 at 9:17 am

    Yaar aap logon ne yeh shayari kahan se sikhi ,,mujhe bhi bata don

  9. 10 shayariadab June 17, 2008 at 9:51 am

    Thanks Shalu…Bas feelings ke sath likhne baithe to apneaap lafz jud jaate hain πŸ™‚

  10. 11 Subuhi June 18, 2008 at 9:52 am

    Woh roye to mooh mod ke roye,jaane kya majboori thi jo dil tod ke roye,mere saamne tukde kar diye meri tasweer ke,our mere peechhe unhe jod ke roye…

  11. 13 janumanu July 9, 2008 at 9:04 am

    bahut acha likha hai ji

    u r so good with meter but plz do write in hindi font or in udru
    coz this is the rigth way or writing poetry of urdu and hindi..
    other wise u may bad with meter………

    ek meri taraf se bhi aad kar len
    bas teri surat lagti hai nazar inme
    na janu ankehn bhoori ya aasmani hai

  12. 14 janumanu July 9, 2008 at 10:40 am

    bas teri hi surat aati hai nazar inme
    na janu ankehn bhoori ya aasmani hai

  13. 15 shayariadab July 24, 2008 at 12:39 pm

    Thanks so much Janumanu……I really appreciate your comments…I write this way because I am not good with written hindi..and if I write in urdu fonts, most of the people wont understand πŸ™‚

  14. 16 shayariadab July 24, 2008 at 12:40 pm

    Bohot khoob likha hai aapne πŸ™‚

  15. 17 Neha Jain December 5, 2008 at 11:36 am

    shayariadab ji u r weite really too good poems. kya kahe shabd hi kam pad hate hai aap ki poem ko padte. bahoot khoob likha hai ap ne.
    kuchh line main bhi ap se shear karti hu.

    mere gam aur tere julmo sitam tol sake,
    KASH ki Irjaad me, koi aisa bhi Tarazoo aaye…..

    • 18 shayariadab January 15, 2009 at 4:39 pm

      Aap ka bohot bohot shukriya Neha…aapko pasand aaya mera likha hua……Apne ne bhi bohot achcha likha hai dera..

      Thanks,

      Shayara
      (Talat)


Leave a comment




Biggest Shayari Forum

My Shayari Weblog


I heartly appreciate your visit to my Blog


You will find my original Shayari in these pages. I will love to hear your remarks which will help me to improve myself.


Blog Stats

  • 347,837 hits