Apne sath hi sada mujhko paaoge tum…!!

Thak jaao gar pathreele raaston pe chalte hue
Kabhi soch na lena ki wahan tanha ho tum
Moond kar palkon ko apni jo tum dekhoge
Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum

Har waqt bura kat jaat hai, yaqeen karna
Ankhon main kabhi tum ashk na bhar lena
Ghum barh jaaye, muskurahat khone lage
Apni duaaon main mujh ko paaoge tum

Ishq naam to nahin hai milan ka, deedar ka
Dil se dil ka mil jaana hai naam-e-mohabbat
Jo yaad aa jaaye meri, na samjhna ki door hoon
Apne seene main dhadakta mujh ko paaoge tum

Waqt ki garmi jo jhulsaane lage wujood
Meri chahat ki nami ko mehsoos karna
Jo sard hawaain zamane ki aane lagen paas
Meri wafaaon ki garmi ko mehsoos karna
Main tumse juda to nahin hoon mere humdum
Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum !!

27 Responses to “Apne sath hi sada mujhko paaoge tum…!!”


  1. 1 sania khan April 23, 2007 at 11:43 am

    Sada door rahi gaham ki perchaiyon se
    samna na ho kahbhi gaham ki Tanhaiyon se
    ye Dua hai Dil ki gahraiyon se
    This is for my jaan

  2. 2 shayariadab April 23, 2007 at 3:59 pm

    Nice Sania Ji….Khuda aapki dua qubool kare !

  3. 3 Manisha April 23, 2007 at 11:15 pm

    Hi shayara

    I read ur work and i would say i am very much impressed..I would like u to join us if possible it will be a pleasure to have a poet like u with us.

    Regards
    Manisha

  4. 4 shayariadab April 24, 2007 at 8:45 am

    Hello Manisha,

    Thanks a lot for your apraisal…its my pleasure that you like my work. I just write whatever comes to me…the comments of my friends here make me improve my work.

    I believe in the ethics of poetry. People should give full credit to the original author..its a hard work to write something..and people should appreciate it. One such plaform to me was given by YOINDIA where people believe in originality and courtesy to appreciate original work.

    Thank you for your invitation. I am higly delighted.

    Shayara !

  5. 5 Shabi May 12, 2007 at 12:19 pm

    AB MAINE JANA TUJHE AB MAINE SAMJHA TUJHE
    KIOYN KARKE PIYAR DIYA TUNE DHOKA MUGHE

    TERI BATON PE KARKE BHAROSA BACHTA RAHA HUN
    NA JANE ZHEHER ZINDIGI KA KIYON PIYE JA RAHA HUN

  6. 6 shayariadab May 17, 2007 at 5:31 pm

    Bohot khoob Shabi ! Shukriya yahan likhne ka !

  7. 7 Ankit Gupta sbd September 12, 2007 at 8:11 am

    Sochata hun ek din duniya chod kar chala jaunga,
    lakin is zindagi ka khwab pura nahin kar paunga;
    Plz maaf kar dena nahi to
    marne ke baad kabhi tumse milne nahin aaunga,
    yun to bahut se gum hai zindagi me,
    ik tera gum is dil mein nahi saja paunga;
    ik tum hi ho meri qayenat,
    jise main marne k baad bhi chahunga;
    agar tum chahti ho to bahut dur chala jaunga,
    tumhe kabhi apna ahsas nahi dilaunga;
    maine socha bhi nahin tha k zindagi se ye inaam paunga,
    ki tumhe maut k baad bhi nahi bhula paunga;
    Tumhare har aansu ko apne saath bahut door le jaunga,
    aasmaan se khushiyan lutaunga;
    jab bhar jayega tumhara daman khushiyon se,
    yo sukun ki neend so jaunga ………
    aur phir ek khwab sajaunga………..

    It’s my own – Ankit gupta SBD —–Thanx

  8. 8 rajiv September 23, 2007 at 6:59 am

    apki shayri dil ko choo lene wali hai
    har alfaz me ek ajib sa dard ek ajib si kasish hai jise humne mahsoos kiya hai!
    wish u all the best

  9. 9 Shashank October 27, 2007 at 12:37 pm

    aap jab hame chhod kar chale gaye,
    Dard hua tha seene mein,
    chubhe the nashtar,
    seh gaye dard saare is khwahish mein ki miloge ek din,

  10. 10 shayariadab November 12, 2007 at 11:49 am

    Very nice Ankit….thanks for writing here.

  11. 11 shayariadab November 12, 2007 at 12:05 pm

    Rajiv, aapke comments ne bohot hausla diya hai…..thank you so much.

  12. 12 shayariadab November 12, 2007 at 12:06 pm

    Shashank, nice one from you !

  13. 13 deep November 21, 2007 at 1:06 pm

    mujhe nahi malum ki tum kon ho

    par haa itna kahunga ki bahut hi khubsurat baat likhi hai

    or me kya kahu yahi kahunga ki
    jo gam chupa hua hai apki kalam me,
    khuda kabhi kisi ko wo gam naa de

    shukriya

  14. 14 shayariadab November 21, 2007 at 3:30 pm

    Deep..aap ke comments ne dil choo liya….bohot bohot shukriya

  15. 15 amaan khan December 17, 2007 at 12:24 pm

    mai to apka diwana ho gaya ho app mujhe apne mail id par add kar lo mai app se bat karana chata ho

    pls

  16. 16 shayariadab January 7, 2008 at 10:54 am

    Aap ka bohot bohot shukriya shayari pasand karne ka….mere liye yahi bohot hai ki aap jaise qadardaan meri shayari ko parhte aur sarahte rahen.

  17. 17 siddh May 30, 2008 at 12:19 pm

    It is awesome……….

  18. 18 shayariadab June 16, 2008 at 3:07 pm

    Thanks so much Siddh 🙂

  19. 19 Zeba July 23, 2008 at 1:33 pm

    Apki her shayari mein gehraai hain,,,,,main apki shayari ki kadr kerti hun….!! Her lafz ka sahi isstemaal kerti ho…Great, keep it up.

  20. 20 shayariadab July 24, 2008 at 12:45 pm

    Aapne mere dil ko chhuu liya Zeba….bohot bohot shukriya 🙂

  21. 21 Aman July 25, 2008 at 7:58 am

    Sach mai aap bhut achha likhtin hain.dill ki sakoon mila aapki shayari padkar.aapne jo bhi likha vo har baat har sahad dill ko chukar nikalta hai.KEEP IT UP……
    AMAN

  22. 22 shayariadab August 18, 2008 at 3:16 pm

    Hi Aman…I m really glad to read your comments…thanks so much for appreciating my work….it pays off 🙂

  23. 23 mohini September 28, 2008 at 6:22 am

    well apki shayri mein bahut dard hai mujhe iss dard ka ehsaas hai bahut acha likha hai apne!!

  24. 24 shayariadab September 29, 2008 at 10:55 pm

    Thanks a lot Mohini, aapne mere jazbaat samjhe aur mere likhe kaam ko saraha….shukrguzar hoon apki…[:)]

  25. 25 Sweet October 5, 2008 at 5:34 pm

    EHSAAS

    Ehsaas dilate hai ye pal
    Kabhi hasate hai pal
    Kabhi rulate hai pal
    Har pal ki yaad dilate hai yeh pal
    Chaho ya na chaho aap ke pass na hone ka
    Ehsaas dilate hai ye pal

  26. 26 Sweet October 5, 2008 at 5:43 pm

    Palkon pe aansoon ko sajaya na ja saka
    us ko bhi Dil ka haal bataya na ja saka
    zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
    ek zakham bhi us ko dikhaya na ja saka
    jab teri yaad aayi to koshish ke wajood
    aankhon main aansoon ko chupaya na ja saka
    kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
    jin ko……………..

    SWEET


Leave a reply to shayariadab Cancel reply




Biggest Shayari Forum

My Shayari Weblog


I heartly appreciate your visit to my Blog


You will find my original Shayari in these pages. I will love to hear your remarks which will help me to improve myself.


Blog Stats

  • 347,837 hits