Tujhse yoon door ho gaye !!

Kya kahen hum kaise tujhse door ho gaye
Haalaat se, kuch khud se majboor ho gaye

Mohhabbat rula deti hai, kab ye maana tha
Apne dil ke afsaane wohi dastoor ho gaye

Manzil jise samjha bana wo meel ka pathar
Nayi manzil, naye raaste manzoor ho gaye

Hadd se barh jaaye jo ghum, deta nahin dard
Muskura rahe hain, aise hum ranjoor ho gaye

Dil tera reza reza hai, kaise sambhale tujhko
Khudaya humse kaise yeh qusoor ho gaye !!!

45 Responses to “Tujhse yoon door ho gaye !!”


  1. 1 ikshayar May 22, 2007 at 11:00 am

    Hi..

    … Nice words..

    Tuh gham naa karr..
    Teri mehak naa sahi ..
    Teri aawas toh hai..
    Tuh naa sahi
    Terri harr baat toh hai !

    tuh Gham naa karr..
    teri justaju na sahi
    teri wafa toh hai..
    tera haath mere haath naa sahi
    teri dua toh hai !!

    !!!
    🙂 .

  2. 2 shayariadab May 23, 2007 at 8:33 pm

    Hi !

    Thanks…..Nice words from you as well…

    Uthenge jab bhi haath Khuda ke saamne
    Teri muskurahat maanga karenge hum !!

  3. 3 pooja May 29, 2007 at 4:05 pm

    all shayari’s are fine……….

  4. 4 nuts May 30, 2007 at 11:21 am

    “Uthenge jab bhi haath Khuda ke saamne
    Teri muskurahat maanga karenge hum !!”

    excellent lines……
    nothing can be better than this……

    Natasha
    http://nuts.wordpress.com

  5. 5 Saher June 9, 2007 at 2:08 pm

    Bahut accha likhte hain aap janaab

  6. 6 shayariadab July 10, 2007 at 7:04 pm

    Bohot bohot shukriya Natasha …. and Saher !!!

  7. 7 asif July 22, 2007 at 10:22 am

    i love poetry . PARVEEN SHAKIR and AHMED FRAZ r my favourite

  8. 8 sujal4u October 23, 2007 at 11:36 am

    Mein Bhi Kitna Pagal Hoon Jo Tumse Rooth Jataa Hoon
    Naa Jaane Kya Hota Hai Mein Khud Hi Toot Jata Hoon
    Ik Dard Sa Dil Mein Uthta Hai Tum Baat Jo “Uski” Karti Ho
    Lagta Hai Jaise “Shaq”,Aaj Bhi Muh Par Karti Ho
    Nahi Jaanta Mein Bhi Kitna Pyaar Mein Tumse Karta Hoon
    Jaanta Hoon To Bus Itna Ki Apni “SANAM” Par Marta Hoon
    Jab Yaad Tumhari Aati Hai Is Dil Ko Bhaut Taddpati Hai
    Tum Kya Jaano Kaise Mein, Is Nadaan Dil Ko Samjhata Hoon
    Mein Bhi Kitna Pagal Hoon…………………………………………..

    Vo Din Aaj Bhi Yaad Hai Tum Mujhse Milne Aayi Thi
    Aakar Meri Bahon Mein Tum Thoda Sa Sharmayi Thi
    Kehti Thi Mujhe Yu Na dekho Dil Mein Kuchh Kuchh Hota Hai
    Aakar Tumhari Bahon Mein Ik Ehsaas Jawaan Sa Hota Hai
    Aaj fir Mein Us Din Ko Doobara Dohrana Chahta Hoon
    Mein Bhi Kitna Pagal Hoon……………………………………………

    Pyaar Mein Tumse Karta Hoon Apni Jaan Se Jyada
    Saath Tera Na Chhooddooonga Ye Hai “SUJAL” Ka Wadaa
    Par Fir Bhi Tum Kabhi Kabhi Baat Aise Kar Deti Ho
    Na Chahte Hoye Bhi Roothne Par Majboor Kar Deti Ho
    Jaanta Hoon Mein Bhi Na Reh Sakoonga Tere Bin “SANAM”
    Fir Bhi Na Jaane Mein kyon Pagal Sa Ban Jaata Hoon
    Mein Bhi Kitna Pagal Hoon……………………………………………..

  9. 9 yuvi November 9, 2007 at 7:35 am

    ni ce plz stay conected with me and plz help me yaar

  10. 10 shayariadab November 12, 2007 at 11:59 am

    Asif, aapka shukriya !

    Yuvi, thanks….aap kis silsile main madad chahte hain ?

  11. 11 shayariadab November 12, 2007 at 12:03 pm

    Sujal, aapne ne bohot achcha likha hai…keep it up !

  12. 13 deep November 21, 2007 at 12:51 pm

    bahut kubbbbbbbb
    nice shukriya

  13. 14 shayariadab November 21, 2007 at 3:28 pm

    Bohot bohot shukroya Deep 🙂

  14. 15 Javed Akhtar November 26, 2007 at 7:27 pm

    Zindagi ka Safar

    Zindagi ka Safar kaisa hai ye Safar
    Har Dagar, Har Nazar mile Ek naya Humsafar

    Mil jaaye Kisi Dagar, phir koi aisa Nazar
    Chale saath jiske banke Humsafar
    To jaaye lamhat gamgin zindagi ke gujar

    Na tha Khabar
    Ki hoga mushkil itna Safar

    Bin tere hai Tanha Zindagi
    Har pal ek naya imtihaan hai Zindagi

    Kuch khushiyon ke pal hai yahaan
    To gham ki bhi Aandhi hai yahaan

    Aankho me nami hai
    Dil me daba Dard bhi hai
    Phir bhi chehre pe muskaan liye Phirte hai

    Kaisi hai ye dard-e judai
    Har pal yaad dilaaye wo lamhat-e-judai

    Rote hai Tadapte hai
    Phir bhi Yaad me tere jeete hai

    Ae Khuda!!Kaisi hai teri Khudai
    Unse hai Tanha Zindagi
    Phir bhi yaad me unke karte hai teri bandagi

  15. 16 kaleem parvez November 29, 2007 at 10:51 am

    pyaar me itna dard rehta hai ke woh lafzon me keh nahi sakte unse bichadne kar dard itna rehta hai ke woh dard ke samne maut bhi choti lagti hai

  16. 17 ABDUL HAQ November 29, 2007 at 11:43 am

    kisne kaha hai hum tumko bhul gaye
    aai dost ye afva kise aur ne udaye hogi
    shaan se rahege tere dil me
    itne dino me kuch to jaga banai hoge

  17. 18 shayariadab December 1, 2007 at 11:20 pm

    Nice one Abdul Haq

  18. 19 shayariadab December 1, 2007 at 11:25 pm

    Very nice Javed, aapne bohot achcha likha

  19. 20 shayariadab December 1, 2007 at 11:27 pm

    Aapne bhi achcha likha hai Kaleem

  20. 21 pari January 25, 2008 at 6:53 pm

    wowow realy its too nice!
    Dard dil dard judai dard bewafai ufff love!!!
    its too hard realy mein to love mein dard judai paya hain no bewafai he is too good i love him forever.

  21. 22 vivek February 8, 2008 at 8:00 am

    kash chand jamipe hota….
    Wo bhi sirf hamara hi hota…

  22. 23 shayariadab February 24, 2008 at 1:54 am

    Bohot khoob Vivek !

  23. 24 shayariadab February 24, 2008 at 1:58 am

    Thanks a lot Pari… 🙂

  24. 25 sikander March 25, 2008 at 12:53 pm

    agar hum day dain apne dard ko zubaan,to duniya main nafrat karega muhabbat se har ik insaan

  25. 28 khaqan March 29, 2008 at 12:17 pm

    Roz kehta hoon bhool jaon osay
    Roz ye baat bhool jata hoon

  26. 29 Heena March 31, 2008 at 12:06 am

    aaha … aap kabhi kabhar idher aajae hai … accha laga… aap ki shayari ke to hum hamesha se hi fan hai … aap ko dekhte hai to din main char chand lag jaate hai 😀

  27. 30 shayariadab April 1, 2008 at 4:19 pm

    Kya baat hai …dil ki teh se shukriya aapka 😀

  28. 31 khaqan April 2, 2008 at 12:49 pm

    Naaz o andaaz se kehtay hain k jeena hoga
    Zahir bhi detay hain to kehtay hain keh peena hoga
    Zahir peeta hoon to marta bhi nahin kion keh
    Marnay lagta hoon to kehtay hain keh jeena hoga

  29. 34 assam July 30, 2008 at 12:23 pm

    Dil ko tadpaate ho yeh dastoor kaisa hai
    Bimaar-e-mohabbat ka kehna aisa hai
    Kon kehta hai ki tum chaand jaise ho
    Haqeeqat to yeh hai ki chaand tum jaisa hai.

  30. 35 vijay singh July 31, 2008 at 9:21 am

    आँखों से बहते अश्को मे , मोती दिखलाने आया हू ,

    जख्म दिए है दुनिया ने जो , घाव वो भरने आया हू

    दिल से जो होती है बातें , वो बतलाने आया हू ,

    मीलो पैदल चलकर तुमको , तुम से मिलवाने आया हू …..

    **********************************

    रात ढले जब छाए अँधेरा , निराश न हो जाना तुम ,

    दिन से पहले होती है राते , ये बतलाने आया हू

    जो न दिख पाए तुमको वो , राह दिखलाने आया हू ,

    मीलो पैदल चलकर तुमको , तुम से मिलवाने आया हू …..

    **********************************

    साथ न दे जब कोई तुम्हारा , ख़ुद से दूर न जाना तुम ,

    करलो ख़ुद को इतना पक्का , गम को हर सह जाना तुम

    गम से है खुशियो का नाता , ये बतलाने आया हू ,

    मीलो पैदल चलकर तुमको , तुम से मिलवाने आया हू …..

    **********************************

    जिसको चाहा दिल से तुमने , जब छोड़ तुम्हे वो जाएगा ,

    दिल से देना उसको दुआए , चैन तुम्हे आ जायेगा

    प्यार वही सच्चा है यारा , जिसमे यार रहे खुश हरदम ,

    मीलो पैदल चलकर तुमको , तुम से मिलवाने आया हू …..

  31. 36 COOL_NICKK August 1, 2008 at 2:25 pm

    Dil Ki Dil Mein Na Rah Jaye Ye Kahani Kah Lo
    Chahe Do Harf Likho Chahe Zabani Kah Lo

    Main Ne Marane Kii Duaa Maangii Vo Puuri Na Hui
    Bas Is Ko Mere Jiine Kii Kahaanii Kah Lo

    Waqt Ki Aandhi Ne Khol Diya Hai Kitaabon Ko
    Udte Hue Un Pannon Ko Meri Jawani Keh Lo

    Tum Se Kahane Ki Na Thi Baat Magar Kah Baitha
    Ab Ise Meri Umr Ki Nadani Kah Lo

  32. 37 AnGeL August 9, 2008 at 6:31 pm

    mujhe yaad ati hai wo beeti hui yaade
    mujhe yaad ate hai wo guzre hue lamhe
    wo tumhara muskurana mujhe ched ke gungunana
    hathaoo me hath leke hamara sath sath chalna
    pehle lafs ka ehsaas wo pehli mulaqat
    sab kuch tha bahut khas bahut khas bahut khas
    mujhe yaad hai wo waqt wo lamhe wo batein
    jab tum ne jagaya tha ehsaas muhabbat ka
    meri hontaou ki muskurahat dhadkan ki kahani tum
    dil chiz kya hai janam e tum ne bataya hai
    is dil ko dhadakna bhi tum ne hi sikhaya hai
    mujhe yaad hai wo pal wo mehekta hua samaa
    jab tum ne kiya tha mujh se iqraar muhabbat ka
    meri teri muhabbat ka har pal suhana hai
    mujhe teri agosh me har waqt bitana hai
    mujhe tum se muhabbat hai sirf tum se muhabbat hai
    tera dil tera jism teri jaan sab meri amanat hai

  33. 38 AnGeL August 9, 2008 at 6:32 pm

    kitne bhi ho kante humari raho me
    hum aap per phool barsaenge
    kitna bhi ho dard hamare naseeb me
    hum ap ka dil nahi dukhaenge
    chahe kitni bhi ho majburi
    hum apni dosti ka rishta hamesha naibhaenge

  34. 40 shayariadab August 18, 2008 at 3:21 pm

    Bohot Khoob Vijay…..bohot hi khoobsurat post aapne ki hai…

  35. 41 shayariadab August 18, 2008 at 3:24 pm

    Nice sharing Angel…bohot khoob

  36. 42 shayariadab August 18, 2008 at 3:25 pm

    Nice one Assam….thanks for sharing

  37. 43 shayariadab August 18, 2008 at 3:26 pm

    Cool_Nickk….very nice post….thanks for sharing with us

  38. 44 yaseer November 30, 2008 at 3:58 am

    wow its cool post more


Leave a reply to shayariadab Cancel reply




Biggest Shayari Forum

My Shayari Weblog


I heartly appreciate your visit to my Blog


You will find my original Shayari in these pages. I will love to hear your remarks which will help me to improve myself.


Blog Stats

  • 347,837 hits