Chaman jal gaya

Ye poem maine kaafi arse pehle likhi thi….theme thi jab doston ke beech main dooriyan aa jati hain aur galatfehmiyan barh jaati hain……..Dosti apne aap main ek institution hai aur jab dosti tooti hai to ye institution kis tarah bikhar jaata hai……..

Banaya tha maali ne jo chaman badi chaah se
Kaisi giri ye barq, muskurata chaman jal gaya

Har paudhe ko seencha tha pyar ke ehsas se
Kyun khilta hua phool pairon se masal gaya

Ugta tha jahan muskurate hue suraj har roz
Wo suraj kyun waqt se pehle hai dhal gaya

Jo dil jude the ek doosre se ek anjani dor se
Ye kaunsa ehsaas aaj un dilon ko chhal gaya

Kahan gayi wo mohabbat jo ek doosre se thi
Aapas main kyun shak ka yeh teer chal gaya !!

16 Responses to “Chaman jal gaya”


  1. 1 Rahul November 23, 2007 at 7:21 am

    Kya Yahan per koi ek dusre ko motivate karne ke liye comment nahi karta ky.

    Ab mein kya kahun dear.

    It is so heart touching that I am not able to make connemt on it.

    But simply superb.

  2. 2 shayariadab November 24, 2007 at 8:51 pm

    Rahul…main tah-e-dil se aapki shukrguzar hoon ki aapne apne qeemti waqt se kuch lamhe nikaal ke yahan kharch kiye……and your comments are always a source of inspiration for me…..

    Thanks a lot for reading and appreciating my poetries 🙂

  3. 3 sameer's love December 31, 2007 at 11:13 am

    Aey shayir parne wali zara zulf hata kar parna .
    tuj ko kasam hai meri zara muskara kar parna .

    Aey zindagi muj se yee daga na kar;
    mai us k bina jiyun yee duwa na kar;
    kohi dehkey be usay to hota hai jalan;
    Aey hawa tu be ab usay chwa na kar;

    kon kehta hai k girls muhabbath nahi karti ha.
    chup chap rehti hai magar azhar nahi karti.
    muhabbath jin ki sadiq hota hai wo kab faryad karte ha.
    labo pe meher kamoshi dil mi yaad karte ha.

    yee masom sa chera yee pool si adaehy ‘
    app he hume batae hum app ko q na chayee’

    yoon to har ek pehle se bar kar haseen mila .
    lekin tumare jesa kahin be nahi mela .
    tume deko to pir kuch be na deko .
    na jane tum mi aesi kiya bath ha.

    soucha nahi achha bora dekta ta kuch be nahi ,
    manga allah se tere sewa kuch be nahi,

    soucha tuje chaha tuje deka tuje samja tuje .
    meri kata. wafa teri kata kuch be nahi

  4. 4 shayariadab January 7, 2008 at 10:56 am

    Aapne bohot achcha likha Sameer….

  5. 5 Nikhil January 17, 2008 at 10:05 am

    Sameer you are superb writer. Tumne jo dil ki baat shabdon mein likhi hai that is very good.
    shayari

  6. 6 shayariadab February 24, 2008 at 2:00 am

    Nikhil, you are absolutely right !

  7. 7 Naveen March 5, 2008 at 1:14 pm

    well done yaar.
    aapki kya taariff karu.
    u r the best.
    aapki shayari ne dil ko chhuua h.

  8. 8 shayariadab March 6, 2008 at 12:05 pm

    Naveen,

    Aap ke comments ne dil chu liya..Ek poet ke hausla afzai hi usko aur achcha likhne ke liye motivate karti hai !

    Thank you so much 🙂

  9. 9 Narendra singh April 19, 2008 at 2:26 am

    wounderful n keep it up n best of luck , u are best………………..

  10. 10 AVADHESH BANSAL April 28, 2008 at 11:50 am

    MILE DARD DENE WALE KAI IS DUNIYA ME
    JINHONE JHUTHA PYAAR KARKE JATA DIYA
    HOGA DARD KOI TERE SEENE ME BHI
    JISNE TUJHE DARD KO SHAYRI ME LIKHNA BATA DIYA

  11. 11 shayariadab June 16, 2008 at 3:12 pm

    Thanks Avadhesh….bohot gehri baat kahi aapne !

  12. 12 shayariadab June 16, 2008 at 3:12 pm

    Thanks a lot Narendra ..I m glad you liked it 🙂

  13. 13 mr trucker August 14, 2008 at 11:01 am

    hi hi love your shyri u r the best

  14. 14 mr khan August 14, 2008 at 11:17 am

    That was the mont of January
    Jab dekh ke usko socha tha main hai ek pari
    Aate hi uske, ab dost mere
    Puchne mujh se aaate the kaise hai ab halat meri Then aaya month February ka
    Aaya samay propasal ki taiyarii ka
    Valentines’ day aaya aur
    Keh dala maine haal apne dil ka Jawab ke intezaar main aaya month March ka
    Saheliyon se uske issi mahine janmdin hai uska
    Bin soche hi maineAaya June ka mahina May beet jaane ke baad
    Ab mujhe uska hi rehta intezaar uske chale jaane ke baad
    Pakka kar liya tha ab maine apna irada
    Utar ne na doonga ab iss dil mein uske baad

    De dala tha uphaar use meri chahaton Kisi tarah kata March aaya Aprail
    Faisla uska hoga kya??
    Soch ke main hone laga tha pale
    Usne phir ek din kiya iqraar
    Biswash na ho raha tha mujhko,
    Aisa lag raha tha sun raha hoon main koi fairy tale Khushi-khushi beeta Aprail ab aayi bari May ki
    Aaya waqt ki pata chale,
    Mujhe uske zazbaaton ki gahrayee ki Aaya June ka mahina May beet jaane ke baad
    Ab mujhe uska hi rehta intezaar uske chale jaane ke baad
    Pakka kar liya tha ab maine apna irada
    Utar ne na doonga ab iss dil mein uske baad Intezaar aur vaadon mein kaise beeta July pata na chala
    Aaya kab mahina July ka pata na chala
    Aisa mehsoos ho raha tha zannat mujhe mil gayi
    Uske pyar mein iss mahine the kitne din pata na chala Phir aaya mah August ka
    Silsila shuru hua zindagi mein kast ka
    Ek pal bhi ab na guzar ti thi uske bin
    Jab beet raha tha mausam barsaat ka Mausam ke karvaaton ke saath aaya September
    Aur laaya mere jeevan mein lightning & thunder
    Mere liye ab pyar uska hone laga tha kam
    Aisa lag raha tha jaise koi bin baataye kar raha hai mera murder Soch tha halaat badlenge jab aaya October
    Laga aise jaise mar daloon mein khud ko under water
    Jab achanak pata chala
    Ab woh mujhe samajhti hai sirf a matter of laughter Mausam badal raha tha aa raha tha November
    Andar hi andar jal raha tha jaise hoon koi heater
    Main bilkul dhaga gaya tha
    Halaat aise ho gaye ki ab aansu nikal rahe the in exact litre Aaya mahina December ka
    Mausam aaya sweater pehan ne ka
    Iss se achcha kya hota mauka mila,
    Apne zazbaat dhakne ka
    Wada kiya khud se tuta mera dil to kya hua
    Dua karoonga use ehsaas na ho kabhi kisi dard ka Khud ke vaadon ke saath ant hua ek saal ka
    Meri prem kahani ka
    Naye saal mein khuda se guzariish hai,
    Ab doobara milan na ho unke aur mere aankhon ka
    Jo raaste pe woh chale
    Woh raasta mujhe na pasand aaye
    Phir gum na ho mujhe humari mulaqat ka
    Aur phir yaad aaye chehra uss bewafaa ka Aansuon ke saath naye saal ka January beeta
    Aaya mah February ka aur ehsaas hua woh sapna tha jo beeta
    Musam khushgavar thi
    Dil main phir hulchil mehsoos hui thi
    Doston ke gfs dekh ke laga
    Mujhe bhi kisi ki zaruraat thi
    Dil ne bhi awaaz di
    Aur ye slogan mujhe di
    Ek gayi to aur hai bhai
    Aage bhi aise hi lage raho mr khan bass yaron and dosto yeh the saari kahan meri zubani mr khan ka sum ko sallam aur yeh msg bi Life is beautiful when it’s shared with one true love.

  15. 15 shayariadab August 18, 2008 at 3:27 pm

    Hi Trucker,

    I am really happy that you liked my shayaris so much…Thanks dear 🙂

  16. 16 shayariadab August 18, 2008 at 3:30 pm

    Mr. Khan…ver nice post….bohot khoob likha hai aapne


Leave a reply to AVADHESH BANSAL Cancel reply




Biggest Shayari Forum

My Shayari Weblog


I heartly appreciate your visit to my Blog


You will find my original Shayari in these pages. I will love to hear your remarks which will help me to improve myself.


Blog Stats

  • 347,837 hits