Ye poem maine kaafi arse pehle likhi thi….theme thi jab doston ke beech main dooriyan aa jati hain aur galatfehmiyan barh jaati hain……..Dosti apne aap main ek institution hai aur jab dosti tooti hai to ye institution kis tarah bikhar jaata hai……..
Banaya tha maali ne jo chaman badi chaah se
Kaisi giri ye barq, muskurata chaman jal gaya
Har paudhe ko seencha tha pyar ke ehsas se
Kyun khilta hua phool pairon se masal gaya
Ugta tha jahan muskurate hue suraj har roz
Wo suraj kyun waqt se pehle hai dhal gaya
Jo dil jude the ek doosre se ek anjani dor se
Ye kaunsa ehsaas aaj un dilon ko chhal gaya
Kahan gayi wo mohabbat jo ek doosre se thi
Aapas main kyun shak ka yeh teer chal gaya !!